Jab jaan ko dil se nikal kar, kisi kone mein basna pad jaye, Tab samajh aata hai, ki zakhmon ka apna ek rang hota hai. Dard ka kya, woh toh har pal saath tha, Dard se ishq usse jaayda kar baithe, hum ishq mein aise kya dooba gaye, Ki bin dard ke, zindagi be-rang ho jaye. Usne kaha, “Jab yaad aaye, toh chand ko dekh lena," Chand ko dekh kar, akhon mein aansoo bhar aaye. Us dard ki talash mein, dilkash raaton ko bhi andhera kar dala, Dil ka bhikarna toh bas purnima ki raat mein likha tha. Har yaad se, aankhon mein nami bhar jaaye, Ab toh yahi umeed hai, ki kam se kam amavasya ki raat mein, Thoda sa sukoon mil jaye. Aur phir kabhi, chand ko dekhne ki himmat na ho. Jab jaan ko dil se nikal kar, kisi kone mein basna pad jaye.