Main shaayar to nahin.... magar ae haseen ....Jab se dekha maine tujhko .....Mujhko shaayari aa gayi
Mein ek baar phir tere khayalo mein khoya rahata hoon vo wakt tha jab har lamha tera intezar karta tha Din ho ya raat bas tujeh hi yaad karta rahata tha Khud ke khushi se jaayda teri khusi ki dua ki Na mulakat karne ki himmat thi na hi baat karne ki Dil ke kone mein bas tujhe basa rakha tha samay bitha raha, par kona vohi raha Dihre dihre duniya ko dekhne ka nazarya badal gaya, par kona vohi raha Bhagya ne phri pata nahi kya katha likhi Ki hume phir amne samne khada kar dala Iss baar kona nahi, pura dil hi kabza kar dala Mein ek baar phir tere khayalo mein khoya rahata hoon